sach OR jhoot?
Kisine sach hi kaha hai choti choti baatein bade bade assar
kar jati hai. Kabhi yuhi chalet chalet kisi dost ki sharat yaad ana. Nahate
waqt holi me bhigna yaad aana. To kabhi bus stop pe khade school jate bachoon
ko dekhke kisi chote bhai ya behen ki yaad ana to kabhi apne hi school ke din
yaad ana. Ye aksar hota hai. Aur jab hota hai tab chehre par ek uncontrollable
smile ka ajana. Life humesha sad nahi hoti, yaade humesha rula nahi jati. Bita
hua pal khushiyose bhara ho yaa dard se, jo insane jine ki ichha rakhta hai use
har yaad gudgudake hi jaati hai. Par jo insane sab hoke bhi haara hua sa rahe
use ye yaade daulat nahi torture lagti hai. Mujhe haarna nahi hai. Achhi yade
mujhe housla deti hai aur buri, sikh.
Mujhe jina hai, har pal. Kyu insan maut ke darwaze pe ake hi
jine ki khwaish rakhta hai? jab zindagi pass hoti hai to kyu usse nazarandaz
kardeta hai? Ha bhai! mai shaant hu. Apne me hi khoi rehti hu, muskurati bhi
thoda kum hu, par mai ji rahi hu. Zindagi me aya hue har pal ko apna rahi hu.
Mere andar koi gum nahi hai jisko zabardasti chupane ke liye mai jhoota hasu.
Jab dard hota hai tab mai roungi, chilaungi, badla bhi lungi… shayad isiliye
jab mai sai maaine me khush hoti hu toh zor se hasti hu, khulke hasti hu. Aur
ha mujhe choti batein, bewakuf si batein bhi hasa deti hai. Jab insane jhoot ka
roo nahi sakta, jhoote aasu se nafrat karta hai to wo jhoot ka hase bhi kyu?
Jhooti hasi ko ‘brave’ bole kyu? Nahi banna mujhe ‘strong’. Naqab pehnke nahi
jina mujhe. Mujhe sach dekhna hai, sach chuna hai, sach jina hai. nafrat hai
mujhe unlogo se jo jyada haste hai, jo jyada rote hai, jo kehte kuch hai aur
karte kuch. Aur fir bhi muh uthake duniya ko sikh dene nikalte hai. sach saha
nahi jata unse, kaayar.
Aaj nahi to kal, ye nahi to wo, har waqt har insane hume khush
kare na kare, kuch sikhake toh jata hi hai. Jhute, dhokebaaz log bhi hume sach
hi dikha ke jate hai. zindagi ka sac! isme koi sahi ya galt nahi hota isme koi
acha ya bura nahi hota. Himmat rakho isse dekhne ki. Sab me nahi hoti. Aur
jinme nahi hoti, bas woi hai zindagi ka jhoot. Kala jhoot jo usme wishwas
rakhne wale hare ek ko andhere me nigal jata hai. nahi badalni mujhe meri soch
unlogo ke liye jinme khudka sach apnaneki bhi himmat nahi. Nahi nachna mujhje
kisi manch pe taaliyo ki gunj sunne ke liye. bhid ki bicho bich nach ke dekho. Jab bhid hatne lage tumhe rasta dene, jab bhid
thamb jaae thumhe niharne ke liye, alag hi maza hai uska. Par himmat lagti hai.
sach usi ko dikhta hai jo use dekhne ki himmat rakhta hai.
Comments
Post a Comment